Friday 21 October 2011

unnati sheel desh hota hai unnatti sheel naujawano se.

Mai bhaarat Ka Baalak Hun aur Gaayak hone ke kaaran Desh Videsh me
yaatra karte hue dekh paata Hun ki duniya kahaa hai, aur mera Desh
kahaa, vikaas n pragati ki dar hamaare Desh se Kahin adhik hai,
pashchimi deshon mien.


              Par marm ki Baat hai ki Jin deshon me takniki
aivam bhoutik pragati hui hai wahaan par adhikaansh kaam karne waale
bhaartiya mastishk hi hain chaahe vah koi bhi kshetr ho, kyonki mai
apne aap ko maatr dugdugi bajte hi bandar naachne lage type Ka
performer Nahin maanta Hun, toh mere andar ek jigyaasu mann hai jo
deshbhakti aur Apni sanskriti se apaar prem kartaa hai, isiliye jiss
Desh me bhi hum jaate hain pane Desh se tulnaa karne lagte hain,
shaayad isliye ki hum aisi mitti tathaa sanskaro me pale hain, ki jab
bhi kisi ke achchhe Swarup ko dekhte hai toh sochte hain kaash bhaarat
mein bhi achche saadhan ho jaaye,


                 mai America ki Washington Shahar
mien apne band Kailasa ke saath Concert Karne gayaa thaa, Do Saal
pahle, hamaare manager jo ameriki naagrik hain ne bataaya ki George
Washington University mien pure sansaar ke ameer pariwar ke bachche hi
padhte hain, yahaan Tak ki bhaarat ke bhi Uchch Dhanaadya varg ke
bachche hi... Mere mann me prashn hua ki Phir vo ameer bhartiya
padhkar Kyaa karte hai to Pataa chalaa ki zyadaatar apne aap ko
amerika me hi kaamyaab karne mein busy ho jaate hai, yaa kuchh jo
vahaan padhte bhi hain toh bhaarat mein aakar bhi vo asli bhaarat jo
gaavon me bastaa hai se alag karke Jeevan jeete hai,

       
             Meraa dill Bhar aaya ye sunn kar ki hamaare hamaare hi Desh mein ek vo log hain jo
Abhaavi hain, Aur ek Vo hain jo prabhaavi hain,  yadi vo jo kuchh
Prabhaavi hain vo Desh hit mein thoda dhyaan de toh Bahut Badaa
protsaahan bhaarat ke pragatisheel yuvaaon ko milegaa, aur jo yuva
padh likhkar apne aap ko isliye hataa letaa hai iss Desh ki mukhya
dhaara se ki iss Desh ko chalaane vale mukhyatah uss umr ke hote hai
jis umr mein hamaare Desh ki sanrachna kaanunan retirement ki hoti
hai,

          Bhaarat me 65%yuvaa hain,60 varsh ke baad hum apne badon ko kaam Nahi
karne dete aur Ghar ki saari zimmedaari khud sabhaal lete hai, lekin
pure Desh ki zimmedaari aur karybhaar apne badon ko jo adhikansh 70 ke
paar umr vaale hai de rakhi hai,    kaaran hai yuvaaon Ka buzurgon se
Kate kate rahnaa aur Apni soch ko badon se naa baatna.... par aaj Desh
ko zarurat hai yuvaaon Ka raajneeti mein aana aur Apni Urjaa se Desh
mein nayee roshnee laana...  


          Yadi Desh ke yuvaa californiya mein
sylicon valley mein Apni taakat se Anya Desh ko mazboot kar skte hain,
toh apne Ghar Apni Bharti apne vatan ko bhi sanbhaal sakten hai,
bhartiya yuvao mein Bahut adhik Shakti hai, Bas uss Shakti Ka Sadupyog
aur sanyojan karne ki ghadi aa Gayee hai... Mai apne Desh ke har
vayask aur Har yuva se apeel kartaa Hun ki kam se kam Sab vote Kare
chahe kitni bhi kathinaayee aaye par at least naye bhaarat ki Kalpna
sambhav hogi yadi hum Sab Vote Karen , yadi Hame candidate yogya Nahi
lagte toh hum vote ragister toh karaa hi skate hain, par aaj hamaare
Desh ko upeksha ki Nahi Apeksha ki Zarurat Hai...
Mere Pitaaji Ji kahte thhe
           

"Unnati sheel Desh Nahi Hotaa tank top vimaano se,
             Unnati sheel Desh Nahi Hotaa dhan ke bhare khazano se,
            Par Unnati sheel Desh hota hai, unnatisheel naujawano se"